Wo mere aane pe khil jaana tera wo mere jaane pe chid jaana tera wo mere chhune pe chhil jaana tera yaad hai na
wo paas aane pe pighal jaana tera boond boond mujhpe baras jaana tera til til mujhko woh tarsana tera yaad hai na, yaad hai na, yaad hai na
honthon se palkon ko kholna palkon pe dardon ko tolna dardon ko chadar mein chhodna
jo tere takiye pe neendein thi padi jo teri neendon mein raatein thi dhali jo teri raaton mein saansein thi chali yaad hai na, yaad hai na, yaad hai na
aaja na phir se chaand tale main aur tu ek sath jale main aur tu ek sath bujhe
wo mere aane pe khil jaana tera wo mere jaane pe chid jaana tera wo mere chhune pe chhil jaana tera yaad hai na
woh paas aane pe pighal jaana tera boond boond mujhpe baras jaana tera til til mujhko tarsana tera yaad hai na, yaad hai na, yaad hai na
Compositor: Desconhecido no ECADIntérprete: Arijit Singh (ISRA)Publicado em 2016ECAD verificado fonograma #18683673 em 16/Mai/2024 com dados da UBEM